ADHOORA KAAM
Sarkare Makka-e-Mukarrama, Sardare Madian-e-Munawwara ( صلی اللہ علیہ والہ وسلم )  ne farmaya : “ JO BHI AHEM KAAM بِسْمِ اللّٰہ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْم KE SAATH SHUR.U NAHI.N KIYA JATA  WO ADHURA REH JATA HAI.”(Ad-durrul Mansoor, J.1, S.26) #(Madani Panjsurah)


KHANE SE PEHLE BISMILLAH ZAROOR PARHE.N
Khaane peene se qabl  بِسْمِ اللّٰہ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْم parhna Sunnat hai. Hazrate Sayeduna  Huzaifa رضی اللہ تعالی عنہ rivayat karte hain ki Taajdare Madinah ( صلی اللہ علیہ والہ وسلم ) ka farmaane aalishaan hai ki jis khaane par  بِسْمِ اللّٰہ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْم na parhi jaaye wo khana shaitaan ke liye halal ho jata hai. (ya’ani  بِسْمِ اللّٰہ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْم na parhne ki soorat mein shaitan us khane mein shareek ho jata hai. (Sahih Muslim J.6,S.176,Raqmul Hadees201)

DUROOD SHARIF KI FAZEELAT
  Sarkare Madina, Rahate Qalb-o-Seena صلی اللّٰہ تعالٰی علیہ وسلم ne Irshaad Farmaya, "Jo Mujh Par Shab-e-Jumua aur Jumua ke Roz Sau (100) Baar Durood Sharif Parhe, Allah Ta'aala Us ki Sau (100) Hajatein Poori Farmayega."(Tafseere Durre Mansoor, J.6, S.604)

DUA-E-MAGHFIRAT KI FAZEELAT
"Jo Koi Tamam Momin Mardo Aur Aurto Ke Liye Dua-eMaghfirat Karta Hai, Allah Us Ke Liye Har Momin Mard wa Aurat Ke Evaz Ek Neki Likh Deta Hai." (Mazmauzz Zawaid, J.10, S.352, Hadees No.: 17598)



*KHALBALI MACH GAYI*
Hazrate Sayyeduna JAABIR bin ABDULLAH (رضی اللہ تعالی عنہ  ) ne farmaya,
jab بِسْمِ اللّٰہ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْم naazil hui to baadal mashriq ki samt daode, hawa saakin ho gayi, samundar josh mein aa gaya, chaupao.n ne gaor se sunne ke liye apne kaan laga diye aur shaitaano.n ko aasmaano.n se patthar mare gaye aur ALLAH (Azzawajal) ne farmaya,
“ MUJHE MERI IZZAT-O-JALAL KI QASAM! JIS SHAI PAR بِسْمِ اللّٰہ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْم  PARHI GAYI MAIN US MEIN BARAKAT DU.NGA.”
(Ad-durrul Mansoor, J.1,S.26)
بِسْمِ اللّٰہ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْم Parah 19 Suratul-Naml ki Teesvi.n Aayat ka hissa bhi hai aur Quraane Majeed ki ek poori Aayate Mubaraka bhi jo ke do Soorato.n ke maabain faasilah ke liye utaari gayi. (Halbi Kabeer, S.307)
(Book: Faizan-e-Bismillah, Maktaba-tul-Madina)

Farmane Mustafa صلی اللہ علیہ والہ وسلم:  

Farmane Mustafa صلی اللہ علیہ والہ وسلم: Jo shakhs mujh par Duroode Paak parhna bhool gaya wo jannat ka rasta bhool gaya (Book: Jannati Mahel ka sauda, Maktaba-tul-Madina)